Posted by : Abhikya Thursday, 1 November 2012




Movie Music Album: Ishaqzaade
Music Composer: Amit Trivedi
Singers: Shreya Ghoshal, Vishal Dadlani, Sunidhi Chauhan, Javed Ali, Shalmali Kholgade, Suraj Jagan, Divya Kumar
Lyricist: Kausar Munir
Music on: YRF Music
Banner: Yashraj Films





Ishaqzaade Title Track lyrics


Singer: Shreya Ghoshal, Javed Ali


Ik aur badhne lage jo
Ik dor bandhne lage jo
Ik shor karne lage jo
Do dil
Ik chaal chalne lage jab
Ik dhaal dhalne lage jab
Ik thaal chakhne lage jab
Do dil

Judne lage lage do dilon ke jab kinare
Udne lage

Ishaqzaade... - (x10)

Hoo dil pe jo bhi bair beeta
Dil pe jo bhi bair beeta
Teri khair pe vaar diya
Jal-jala kar jo bhi jeeta
Tere pyaar pe haar diya
Humko khud mein shamil kar le
Abb toh khud ke qaabil kar le
Rang tumhare.. rang jayenge
Sang tumhare.. sang jayenge

Ishaqzaade... - (x10)

Ho.. seele-seele sapne apne
Seele-seele sapne apne
Pyar ki dhoop se sookhenge
Neele naino ki do nehre 
Dil ke baandh se rokenge
Khaak se khwaabon ko bunn le
Raakh se bhi khushiyan chun le
Bhujte-jalte chalte jaayein
Girte uthte badhte jaayein

Ishaqzaade... - (x10)

Ik aur badhne lage hai
Ik dor bandhne lage hai
Ik shor karne lagey hai
Do dil
Ik chaal chalne lage hai
Ik dhaal dhalne lagey hai
Ik thaal chakhne lagey hai
Do dil
Judne lage lage do dilon ke jab kinaare
Udne lage

Ishaqzaade... - (x10)




Chokra Jawaan lyrics

Singer: Vishal Dadlani, Sunidhi Chauhan.

Hua chokra jawaan re
Hua chokra jawaan re
Hey hey...

Arey chooza choo-choo karta hai
Galiyon aur chaubaro mein
Phenka-phaaki karta phire tu toh apne yaaron mein

Aye! 
Phenka-phaaki kuchh nahin sach baat jo bayaan ki
Dahaad hai jawaan ki mardangi mastaan ki
Oye, ab tu bhi maan le, naino ke jaam de
Oh aaja re aaja ja re aaja re aaja
Huaa chokra jawaan re jawaan re jawaan re
(Hua chokra jawaan re, Hua chokra jawaan re)

Haan aye..
Haan haan haan...
Mere munna, baat sun.na
Yeh jawani nahi koi khilona
Pehle jao, seekh ke aao
Pyaase naino ki pyaas ko bhujaana (hoye)
Tabhi-toh tabhi-toh tabhi-toh tabhi-toh 
Hoga moh chokra jawaan re
Moh chokra jawaan re.. aye aye

Oh chand baby, jo chance degi - kyun doon?
Pyaas kya hai main bhookh bhi mita doon - aa aa haaye..
Oh hum hai seekhe aur sikhaaye
Nain kya hain poore tann ko main bhiga doon
Oh naa ja re aaja re aaja re aaja aa aa..
Hua chokra jawaan re
Hua Chokra Jawaan Re

Chokra jawaan hoon main, lais hoon jawaani se

Bore ho gayi hoon main teri lantarani se ha ha
Oh jo thaam le kaliyaan ussi ko jawaan maanu main

Oh din dahaade tujhko tuj hi se aa chura loon main
Chal-chal bohut dekhe hain

Danke ki chot pe, re seena thok ke
Aaja re.. aaja re.. aaja re... aaja
Hua chokra jawaan re jawaan re jawaan re hey...
-Kya gaata hai! Kya gaata hai!-
Aye...... ho

Ding tang...
Ding tang.......

Oh chooza choo-choo karta hai
Dhahaad hai jawaan ki
Arey phenka-phaaki karta hai
Mardangi mastan ki
Karne pe jo aaun, saagar main barsaun

Baaton ke badshah barsa ke toh dikha
Beh jaaye gi deewani, teri mast jawani
Bhadkegi chingari, laptegi chingari
Haaye teri yeh adaa, main ho gaya fida
Jo tu sach main jawaan na hona mujhse juda
Main fida.. fida.. fida..
Naa hona mujh se tu juda
Ho main fida fida fida
Na hona mujh se tu juda
Ho main fida main fida
Na hona mujhse juda
Ho main fida main fida
Na hona mujhse juda
Ho main fida main fida main fida main fida...
Aaja aaja aaja re
Huaa chokra jawaan re... - Jawaan re
Ho ho Huaa chokra jawaan re...

Jawaan aa jawaan re




Pareshaan lyrics

Singer: Shalmali Kholgade.

Naye-naye naina mere dhoonde hain
Dar-badar kyun tujhe
Naye-naye manzar yeh tak.te hain
Iss kadar kyun mujhe
Zara-zara phoolon pe jhadne laga dil mera
Zara-zara kaanton se lagne laga dil mera

Main pareshaan pareshan pareshaan pareshaan
Aatishein woh kahaan
Main pareshaan pareshan pareshaan pareshaan
Ranjishein hain dhuaan haan..

Be-baat khud pe marne lagi hoon
Marne lagi hoon
Bebaak aahein bharne lagi hoon
Bharne lagi hoon
Chaahat ke cheete hai, khaare bhi meethe hai
Main kya se kya ho gayi
Zara-zara fitrat badalne laga dil mera
Zara-zara kismat se ladne laga dil mera
Main pareshaan pareshan pareshan pareshaan
Aatishein woh kahaan
Main pareshaan pareshaan pareshaan pareshaan
Ranjishein hain dhuaan haa..ho..





Jhalla Wallah lyrics

Singer: Shreya Ghoshal

Aa aae...
Jiska naa jigar pe lagaaye chot
Jis ke jaane se bum phate! atom bomb ;)
Ho jaaye bisphot
Aashiqon ki hai shaamat, ya.. aafat hai
Chaand baby hain aayi, qayamat hai.. haaye!

Aashiqon main jiska title Titanic
Oo aashiqon main jiska title Titanic
Muaah kinara dikha kar ke dooba de gaya
Jhalla, mera aashiq jhalla wallah
Mera balma jhalla wallah
Mera jhalla wallah wallah aa aa..

Humne samjha tha jise golden jublee jise
Haaye samjha tha jise golden jublee jise
Oh Woh tu matinee dekha kar ke chuma le gaya
Jhalla mera aashiq jhalla wallah
Mera balma jhalla wallah
Mera jhalla wallah wallah aa aa..

Mehfil sajno ki gentle-mano ki hai - [x3]
Bewda koi ho jaaye tu aaye mazaa
Nazron se peene mein kya gunaah hai
Bakhuda kaise peete ho rooh-afshah
Jis lover ki khabar pe paroom hai
Dil ki breaking news usko sunaaye koi
Kaise nazar se kamar ka ratta lage
Isko meri Geometry dikhaye koi
Jhalla, mera aashiq Jhalla Wallah
Mera balma jhalla wallah
Mera jhalla wallah wallah aa aa..

Kya batayein jisko sanam maan kar shab bhar mare
Haye jis ko sanam maan kar shab bhar mare
Woh kameena subah hote phurrr ho gaya
Jis ko mohabbat ka teacher kehte rahe
Woh phateecher ik lesson mein fail ho gaya

Kaske jean pant gentleman jo bane
Raat bhar pajame se ladta raha

Hum jagate rahe dil jalate rahe
Woh jamai raazai mein lagata raha
Jhalla mera aashiq Jhalla Wallah
Mera balma jhalla wallah
Mera jhalla wallah wallah aa aa

Jhalla wallah.. wallah.. wallah..
Haa Mera hero, mera aashiq 
Mera majnu, mera sayiaan
Mera balma wallah haye
Mera jhallah wallah haye haye
Hero aashiq jhalla wallah
Saiyyan balma jhalla wallah
Jhalla.. jhalla.. jhalla... wallah




Aafaton ke parinde lyrics

Singer: Suraj Jagan, Divya Kumar.

Ishaqzaade...Ishaqzaade...Ishaqzaade...
Hatt hat hat...
Aafaton ke parinde, ishaqzaade
Dil udaa denge phurr.. se, ishaqzaade
Ishq ko aazmaane ishaqzaade
Phadphadate hain phir se ishaqzaade

Halaalon mein, haraamo mein
Jo milte thhe, hazaaro mein
Ishaqzaade, ishaqzaade kahaan hai ab jahaanon mein
Ishaqzaade... i.shaq.shaq.zaade... ishaqzaade...
Hatt hat hat...

Sitaaron mein, taaranon mein
Jo milte thhe, faasanon mein
Ishaqzaade, ishaqzaade kahaan hai ab jahaanon mein
Hatt hat hat...

Haay haan haa
Deewaare tod de, daraare chhod dein
Ziddo...Ziddo..Zidd...do ko mita dein
Haay haan haa....
Kinare chhod dein
Majhon ko mod dein
Haddon sarhadon ko khudi se mila lein haan...

Na zameen na falak ke, ISHAQZAADE
Khush-khudi ke jahaan mein, ISHAQZAADE
Halaalon mein, haraamo mein
Jo milte thhe, hazaaro mein
Ishaqzaade, ishaqzaade kahaan hai ab jahaanon mein
Ishaqzaade... i.shaq.shaq.zaade... ishaqzaade...

Leave a Reply

Subscribe to Posts | Subscribe to Comments

Popular Post

Followers

Recent Comments

- Copyright © 2013 Lyr!c$ -Metrominimalist- Powered by Blogger - Designed by Johanes Djogan -