Posted by : Abhikya Friday, 26 October 2012



Movie: Talaash
Lyrics: Javed Akhtar
Music Director: Ram Sampath
Star Cast: Aamir Khan, Kareena Kapoor
Directed by: Reema Kagti
Written by: Reema Kagti, Zoya Akhtar
Produced by : Ritesh Sidhwani, Aamir Khan and Farhan Akhtar.
Star Cast: Aamir Khan, Nawazuddin Siddiqui, Rani Mukerji, Kareena Kapoor.
Release Date: November 30, 2012




Muskaanein Jhooti Hain Lyrics

Singer: Suman Sridhar.

Raat mein hi jaagte hain
Yeh gunaahon ke ghar
Inki raahein khole baahein
Jo bhi aaye idhar
Aa haa...

Yeh hai gumraahon ka rasta
Muskaanein jhooti hai
Pehchanein jhooti hai
Rangeeni hai chhayi
Phir bhi hai tanhaayi
Kal inhi galiyon mein
In masli kaliyon mein
Toh yeh dhoom thi
Jo rooh pyaasi hai
Jismein udaasi hai
Woh hai ghoomti
Sabko talaash wohi
Samjhe ye kaash koi

Yeh hai gumraahon ka rasta
Muskaanein jhooti hai
Pehchanein jhooti hai
Rangeeni hai chhayi
Phir bhi hai tanhaayi

Halke ujaalo mein
Halke andhero mein jo ik raaz hai
Kyu kho gaya hai woh
Kya ho gaya hai ki woh naraaz hai
Aye raat itna bataa, tujhko to hoga pata
Aa haa...

Yeh hai gumraahon ka rasta
Muskaane jhooti hai
Pehchanein jhooti hai
Rangeeni hai chhayi
Phir bhi hai tanhaayi (x2)


Jee Le Zara Lyrics

Singer: Vishal Dadlani

Main hoon gumsum tu bhi khamosh hai
Sach hai samay ka hi sab dosh hai
Dhadkan dhadkan ik gham rehta hai
Jaane kyu phir bhi dil kehta hai
Jee le zara, jee le zaraa
Kehta hai dil jee le zara
Aye humsafar, aye humnawa
Aa paas aa jee le zara

Hai zindagi mana dard bhari
Phir bhi isme ye raahat bhi hai
Main hoon tera aur tu hai meri
Yunhi rahe hum, ye chahat bhi hai
Phir dil ke dil se, pul kyu toote hain
Kyun hum jeene se itne roothe hain
Aa dil ke darwaaze hum khole
Aa hum dono jee bhar ke ro le
Jee le zara, jee le zaraa
Kehta hai dil jee le zara
Aye humsafar, aye humnawa
Aa paas aa jee le zaraa

Gham ke ye baadal guzar jaane de
Ab zindagi ko nikhar jaane de
Chhod de ab yaadon ke dukh sehnaa
Sun bhi le jo dil ka hai kehnaa
Jee le zaraa, jee le zaraa
Kehta hai dil jee le zaraa
Aye humsafar, aye humnawa
Aa paas aa jee le zara

Jiya Lage Na Lyrics

Singer: Sona Mohapatra, Ravindra upadhyay

Mann tera jo rog hai
Mohe samajh naa aaye
Paas hai jo sab chhod ke 
Door ko paas bulaaye
Jiya lage na tum bin mora...x4

Kya jaane kyun hai
Kya jaane kaisi andekhi si dor
Jo khenchti hai, jo le chali hai
Jo khenchti hai, jo le chali hai
Ab yun mujhe teri ore

Ho main anjaani hoon ab kahaani
Hogi naa jo poori
O paas aaoge tto paaoge
O paas aaoge tto paaoge
Phir bhi hai ek doori
Jiya lage na tum bin mora...x4

Mann ab tak jo boojh naa paya
Tum wo pehali ho
Koi naa jaane kya wo rahasya hai
Koi naa jaane kya wo rahasya hai
Jiski saheli ho

Main muskaau, sabse chhupaau
O main muskaau, sabse chhupaau
Vyakul ho din-rain
Kab se naa aayi naino mein nindiya
Kab se naa aayi naino mein nindiya
Mann me naa aaya chain
Jiya lage na tum bin mora...x4



Hona Hai Kya Lyrics

Singer: Ram Sampath.

Naa main jaanu, Naa tu jaane
Kis ghadi me hona hai kya?
Zindagi ke iss juey me,
Paana kya hai, Khona hai kya? (x2)

Jo bhi hai khushiya unke hi saaye me gham hai
Aaj jo muskuraaye unki bhi toh aankhe num hai
Koi jaaye kahaan?
Hogi yehi zameen aur yehi aasmaan
Naa main jaanu, Naa tu jaane
Kis ghadi me hona hai kya?
Zindagi ke iss juey me,
Paana kya hai, Khona hai kya?

Jo baat bhi hai, usme sau maane chhupe
Haan chehro ke peeche kitne hi chehre chhupe hain
Dhoke ka hai dhuaan
Dhundhla-dhundhla saa hai
Aankhon me har samaa

Naa main jaanu, Naa tu jaane
Kis ghadi me hona hai kya?
Zindagi ke iss juey me,
Paana kya hai, Khona hai kya? (x2)

Lakh Duniya Kahe Lyrics

Singer: Ram Sampath.

Lakh duniya kahe 'tum nahi ho'
Tum yahin ho, Tum yahin ho
Lakh duniya kahe 'tum nahi ho'
Tum yahin ho, Tum yahin ho

Meri har soch me, meri har baat me
Mere ehsaas me, mere jazbaat me
Tum hi tum ho
Tum har kahin ho
Ho o laakh duniya kahe tum nahi ho
Tum yahin ho, tum yahin ho
Ho o laakh duniya kahe tum nahi ho
Tum yahin ho, tum yahin ho

Tumne chhoda hai kab saath mera
Thaame ho aaj bhi hath mera
Koi manzil koi rehguzar ho
Aaj bhi tum mere humsafar ho
Jaaun chaahe jahaan tum wahin ho
Ho o o lakh duniya kahe tum nahi ho
Tum yahin ho, tum yahin ho
Ho o o lakh duniya kahe tum nahi ho

Tum yahin ho, tum yahin ho... (repeats)

Khushboo banke hawaaon me tum ho
Rang banke fizaaon me tum ho
Koi gaaye koi saans goonje
Sab sureeli sadaaon mein tum ho
Tumko har roop me dil hai pehchanta
Log hai bekhabar par dil hai jaanta
Tu mere paas ho, dilnashin ho
Ho o o lakh duniya kahe tum nahi ho
Tum yahin ho, tum yahin ho
Ho o o lakh duniya kahe tum nahi ho
Tum yahin ho, tum yahin ho

Tum yahin ho, tum yahin ho... (repeats)



Leave a Reply

Subscribe to Posts | Subscribe to Comments

Popular Post

Followers

Recent Comments

- Copyright © 2013 Lyr!c$ -Metrominimalist- Powered by Blogger - Designed by Johanes Djogan -