- Back to Home »
- bollywood , hindi »
- RUSH Hindi movie Songs Lyrics
Posted by : AtoZpuLse Admin
Tuesday, 23 October 2012
O Re Khuda
From Rush Singer : Adnan Sami, Javed Bashir Ahmed Lyricist : Sayeed Qadri
O re Khuda ye tune kya kiya
Gham de diya, gham de diya - 2
Meri zindagi ki har khushi mein shaamil tum ho
Meri bandagi ki har ghadi mein shaamil tum
Maine jitni bhi duaayein maangi ab tak rab se
Meri un sabhi duaaon ka ho haasil tum
Ik mauj hoon main aur mera saahil tum ho
Aur ik safar hoon main hoon
Meri manzil tum ho
Maine jitni bhi duaayen maangi ab tak rab se
Meri unn sabhi duaaon ka ho haasil tum
O re Khuda ye tune kya kiya
Gham de diya, gham de diya - 2
O re Khuda
Meri zindagi ka khushnuma sa mausam tum ho
Ho meri tishnagi ka manchala sa saawan tum
Kab se mujhe tamanna hai tumko paane ki
Ab chhod bhi do mujhko aazmana tum
Mere raaste mein baadalon ka aana tum ho
Mere dhoop mein ho baarishon ka aana tum
Tumhe yaad karta rehta hoon
Main din mein shab mein
Meri yaad se na kabhi door jaana tum
O re Khuda ye tune kya kiya
Gham de diya, gham de diya - 2
Dil ke mehmaan teri yaad liye baithe hain
Zabt-e-dil kis se kahe, zabt kiye baithe hain
Maut se keh do faraz humko na majboor kare
Jinki ye cheez hai hum unko diye baithe hain
O re Khuda ye tune kya kiya
Gham de diya, gham de diya - 2
Chup Chup Ke (film...
From Rush Singer : Ash King, Muazzam, Rizwan Ali Khan Lyricist : Ashish Pandit
Pehle kabhi hua karti thi
Dil se meri dosti
Pehle kabhi raha karta tha
Ye dil mere paas hi
Phir hua isse jaane kya
Mujhko hui na khabar
Mera sab kuch le gaya
Mujh se bacha ke nazar
Kehne ko hai mera par meri sunta nahi
Kahin yeh tere dil se toh chup chup ke milta nahi
Nahin toh mere seene se yeh dil nikalta nahi
Kuch iss tarah milta hai jaise koi ajnabi
Aur meri iss haalat pe khata taras bhi nahi
Jaane kis ke rang me khud ko hai dhaale hue
Mere kitne hi raaz hai khud mein sambhale hue
Par iske raaz hain mere liye raaz hi
Kahin ye tere dil se to chup chup ke milta nahi
Nahin toh mere seene se yeh dil nikalta nahi
Kahin ye tere dil se to chup chup ke milta nahi
Nahin toh mere seene se yeh dil nikalta nahi
Fukraa
From Rush Singer : Jazzy Bains, Hard Kaur Lyricist : Kumaar
Hum bhi naachege thashan mein
Dil bhi nachega
Aajj saari raat music loud bajjega
Hum bhi naachege thashan mein
Dil bhi naachega
Aajj saari raaat music laud bajega
Kaun marida laal yahan pe
Sannu rukhega
Apne jeene tha therika
Duniya se fukraa..
Dil toh hai fukraa
Style hai wakhra - 2
Naino di ab yaar disk mein
Ishq challe ga
Chha rahi hai high energy
Floor hillega - 1
Holi holi dil ka meter
Charge pakdega
Daru mein hum mix karenge
Sare yehan fukraa..
Dil toh hai fukraa
Style hai wakhra - 2
Mumkin Nahin
From Rush Singer : Tulsi Kumar, Anupam Amod Lyricist : Kumaar
Jaana maina najaane dil mein
Kya khwaaish jagi hai
Kyun aankhon ko bhi kuch hai
Jaagi jaagi rehti hai
Kahan neendein gayi hai
Kya hone laga hai tu bata
Tere labon pe hai mili
Mere labon ko zindagi
Tere bina ab saans loon
Mere liye mumkin nahin
Mehsoos yeh hota hai tu
Mere liye hai laazmi
Saya tera ab chodhkar
Lamhein chalein mumkin nahin
Mumkin nahin..
Mumkin nahin..
Mujhko chipaaley tu
Khud mein hi kahin pe
Main bhool jaon yeh jahan
Yeh jahan..
Faasla kabhi na ho
Dil chahe yahi toh
Dhadhkan tere bin hai kahan
Meri nazar kehne lagi
Tu saamne ho har ghadi
Bus ik tere chere bina
Duniya meri mumkin nahin
Paya tujhe toh hai laga
Puri hui koyi kami
Tujhse judaa main ab rahoon
Khwaabon mein bhi mumkin nahin
Mumkin nahin..
Mumkin nahin..
Tere labon pe hai mili
Mere labon ko zindagi
Tere bina ab saans loon
Mere liye mumkin nahin
Mehsoos yeh hota hai tu
Mere liye hai laazmi
Saya tera ab chodhkar
Lamhein chalein mumkin nahin
Tere labon pe hai mili
Mere labon ko zindagi
Tere bina ab saans loon
Mere liye mumkin nahin
Mehsoos yeh hota hai tu
Mere liye hai laazmi
Saya tera ab chodhkar
Lamhein chalein mumkin nahin
Chup Chup Ke
From Rush Singer : Shaan, Muazzam, Rizwan Ali Khan Lyricist : Ashish Pandit
Pehle kabhi hua karti thi
Dil se meri dosti
Pehle kabhi raha karta tha
Ye dil mere paas hi
Phir hua isse jaane kya
Mujhko hui na khabar
Mera sab kuch le gaya
Mujh se bacha ke nazar
Kehne ko hai mera par meri sunta nahi
Kahin yeh tere dil se toh chup chup ke milta nahi
Nahin toh mere seene se yeh dil nikalta nahi
Kuch iss tarah milta hai jaise koi ajnabi
Aur meri iss haalat pe khata taras bhi nahi
Jaane kis ke rang me khud ko hai dhaale hue
Mere kitne hi raaz hai khud mein sambhale hue
Par iske raaz hain mere liye raaz hi
Kahin ye tere dil se to chup chup ke milta nahi
Nahin toh mere seene se yeh dil nikalta nahi
Kahin ye tere dil se to chup chup ke milta nahi
Nahin toh mere seene se yeh dil nikalta nahi